Thursday, July 17, 2008

Sayaries


Katoon si chubhti hai Tanhai
Angaroon si sulagti hai Tanhai

Koi aa kar hum dono ko hunsa de
Main rota hoon rone lagti hai Tanhai

Jab bhi tere sehar se nikalna chaha
Yaadoon ke beej bone lagti hai Tanhai

Raat ke kisi hise main yeh bhi Bewafa ho jati hai
Main nahi sota sone lagti hai Tanhai

Tum se judaa ho kar is se hi Dil laga lia hai
Mar sa jata hoon jab khone lagti hai Tanhai
====
dil men kis darjaa bedilii hai abhii
har Khushii jaise ajanabii hai abhii

phir badhe hain qadam terii jaanib
tere gam men bhii dilkashii hai abhii

main bhii tujh se bichhad ke sargardaan
terii aankhon men bhii namii hai abhii

main ne maanaa bahut andheraa hai
phir bhii thodii sii roshanii hai abhii
====
Dard se hath na milate to or kya karte,
Gam ke aansoo na bahate to or kya karte.
Usne maangi thi humse roshni ki dua,
Hum khud ko na jalate to or kya karte.
———— ——— ——— ——— ——–
Haqikat jaan lo juda hone se pahle,
Meri sun lo apni suna ne se pahle.
Ye soch lena bhulane se pahle,
Bahut royi hein ye aankhen muskurane se pahle.
———— ——— ——— ——— ——–
Chahat wo nahi jo jaan deti hai,
Chahat wo nahi jo muskaan deti hai.
Ae dost chahat wo hai,
Jo pani mein gira aansoo pehchan leti hein.
———— ——— ——— ——— ——–
Bahut chaha usko jise hum pa na sake,
Khayalo me kisi or ko le na sake.
Usko dekh ke aansoo to ponch liye,
Lekin kisi or ko dekh ke muskura na sake.
———— ——— ——— ——— ——— -
Ager main yeh janta
Tere pass Dil Nahi
Balkah Seeny main
sang e mur mur ka ik tukra hai
to meri jaan
kabhi na tum se dil lagata
kabhi na tum se pyaar kerta

Ager mujhe es ka ilam hota
kah sabez ankhain
to bewafai ki hain alamat
kabhi na main
en main jhank ker
tum se
apni ankhon ko chaar kerta

Ager mujhe es ka ilam hota
ke teri zulfon k jaal main
main ulajh ke
phir na nikal sakon ga
kabhi na main
unn k saye main beth ker
gum apna iqrar kerta

ager mujhe es ka hota ihsas
husan tera fareeb tha
khud meri nazar ka
kabhi na be ikhtiaar ho ke
main apni jaan o dil ko
tum per nisaar kerta

mager meri jaan
sach to yeh hai
haqeeqatain talakh hi sahi per
kadi jawani ke
garam khoon ki harartoon main
tamam jazbaat andhy hoty hain
khawahishon ke ubalty lawey ke samnay
kuch nahi theherta
jo apny jadbaat ke sumader main doob jaye
hazar koshish kare
phir nahi ubherta

Isi liay Jaan
sach to hai
yeh sara kuch janty huye bhi
main manta hoon
main janta hoon
yeh dil mery apny buss main hota
YA MUJH KO BE IKHTIAAR KERTA
MAIN PHIR BHI
TUM SE HI PYAAR KERTA!!

1 comment:

Ishani said...

lagta hai aapko sachmuch hi kahi pyar ho gaya hai
waise mujhe bahut achha laga aapka msg
lekin mujhe abhi tak aisa koi mila hi nahi..........


ISHANI JHUNJHUNWALA